Tuesday, April 27, 2010

By mohsin naqvi

Harf-e-Ranjish pe koi Baat bhi ho Sakti hai,

Ain Mumkin hai Mulaqaat Bhi ho Sakti hai,

Zindagi Phool hai Khushbu hai magar Yaad rehay,


Zindagi Gardash-e- Halaat Bhi ho Sakti Hai,

Hum Ne Ye Soch k Rakha Tha Qadam Gulshan Mein,

Lala.o.Gul Mein Teri Zaat Bhi Ho Sakti Hai,

Chaal Chaltey Huey Shatranj Ki Baazi k Asool

Bhool Jao Gay To Phir Maat Bhi ho Sakti Hai,

Aik to Chhat k Bina Ghar Hai Hamara Mohsin,


Us Pe Ye Khouf k Barsaat Bhi ho Sakti Hai.

No comments: