Friday, December 31, 2010

Jhulsi c ik basti me!


haa kl dekha ham ne is ko, dekhne ka jisko armaa tha
wo jo apne shehr se aagay, qariya bagh o baharaa tha
soch rha hoo jang se pehle, jhulsi c is basti me
kesa kesa ghar ka maalik, kesa kesa mehmaa tha
sb galiyo me taranjin thay or hr taranjin me sukhiyaa thee
sb k g me aane wali kl ka shoq-e-farawaa tha
melo thelo, baajo gaajo baarato ki dhoome thee
aaj koi dekhe to smjhe, ye to sada beyaabaa tha
charo jaanib thande choolhe, ujre ujre aangin hein
wrna har ghar me thay kamre, hr kamre me samaa tha
ujli or pur nur shabihe roz namaz ko aate thee
masjid k in taaqo me bhe kia kia diya frozaa thaa
ujri mandi, laghir kute, toote khambe, khali khet
kia is nehr k pul k aage shehr khamoshaa tha?

aaj k ik roti khatir card dikhata phirta hi
poore camp ko rooi dae dae aisa aisa dehqaa tha
taab nhi hr aik se pooche, baba tjh per kiya guzri
aik ko rok k poocha hmne seena iska bariyaaa tha
bola log to aye jaye basti ko phir bsna hi
mere he tinko ki khatir aya sara toofaa tha
aag k andir or tapish hi, aag k bahir or he aanch,
shayad koi deewana hoga! beshak chak-e-gareebaa tha


Written By Great Poet Ibne Ansha

1 comment:

Unknown said...

wonderful poetry. keep it up