Friday, March 26, 2010

Yad dilaye ab kon tmhe

Ab yaad dilae kon tmhe
Ye saal b akhir beet gya
Tera apna b koi dosh nhi
Ye bazi b jag jeet gia
Wo sard hwaein ab b hyn
Rangeen fizaein ab b hyn
Wo bheege bheege pani ki Purshor sadaein ab b hyn
Main ab b udhr ko jata hun Or dil apna sulgata hun
Jb tm nhi hote sath mere Hote hein khali hath mre
Purshor sdaein puchti han
Wo sard hwaein pochti hein
Wo kahan gai JAAN tri Kia phr ye zmana jeet gaya

Uski Khatir

mujhe wo lakh tarpaey mgr uski khatir.
mere dil k andheron main duaaen raqs krti hain.
usay kehna k lot aaey sulagti shaam se pehlay.
kisi ki khushk aankhon main sadaen raqs krti hain.
khuda janay kashish kaisi hay uski yaadon main.
main uska zikr chairoon to hawaen raqs krti hain.

Wednesday, March 17, 2010

Samjhta nhi ye dil...

Samajhta nhi ye Dil samjhane chaly aao,

Dilo k faslay mitanay chaly aao,

Janoon e Ishq may pagal ho gaye hum,

Apni bahon may mujhe samane chaly aao,

Na door reh kr tarpao, na dil ko tarsao,

Apna bna k apnayat dekhany chaly aao,

Mera ishq sucha hai mera itbar karo

Mera ishq mera piyar azmany chaly aao

Majborion ki diwar tor dety hain log

Tum b kisi din kisi bahany chaly aao.

Mohsin Naqvi

Mujh se milta tha to talqeen e wafa kerta tha.

Us k daaman mein koi phool nahi mere liay,

Jo meri tangi e daman ka gila kerta tha.

Aaj jo usko bulaya to wo gum sum hi raha,

Dil dharakne ki jo awaaz suna kerta tha,

Usko ehsas dilaya to wo milta hi nahi,

Ajnabi tha to roz mila kerta tha,

Uski dehleez pe sadyoun se khara houn mohsin,

Mujh se milne k jo lamhaat gina kerta tha,