Thursday, April 29, 2010

Kaise hua...

Khatam Apni Chahton Ka
Silsila Kaise Hua...?

Tu To Mujh Mein Jazb Tha,
Mujh Sy Juda Kaise Hua...?

Woh Jo Tere Aur Mere Darmiyan Aik Baat Thi...

Aao Sochain Shehar Us Sy Aashna

Kaise Hua...?

Chubh Gai Seeney Mein
Tooti Khawhishon Ki Kirchiyaan.

Kya Likhon,Dil Tootne Ka Haadsa Kaise Hua,?

Jo Rag-e-Jaan Tha Kabhi Milta Hai Ab Rukh Phair Kar.

Sochta Hoon,Is Qadar Woh Bewafa Kaise Hua...?

I love u in all times

Nigahon k smander ka thikana chahte hain Hum

Humein tum se mohabat hy btana chahte hein Hum

Hume achi nahi lagti kisi mosum ki shadabi!

Tumhein bas apni sanso mein basana chahte hein Hum

Hamara ghar to roshan hai tamarey NAAM se lakin!

Tumare naam se jivan sajana chahte hein Hum

Humein her haal mein Tum se aqidat or mohabat hai

Tumhare pas Aane ka bahana chahte hein Hum..

Zamane beet jate hein...

Muqadar Aazmane Mein Zamane Beet Jatey Hain,

Muraden Dil Ki Paney Mein Zamane Beet Jatey Hain...

Nahi Karta Koi Himat Agar Ezhar_e_Ulfat Ki,

Zuban Par Baat Laney Mein Zamane Beet Jatey Hain...

Mohabat Zindagi Mein Bari Mushkil Se Milti Hai,

Magar Isko Nibhane Mein Zamane Beet Jatey Hain...

Agar Ek Baar Aankhon Mein Achanak Aa basy Koi,

Usay Dil Se Bhulane Mein Zamane Beet Jatey Hain.")

Dard...

Mera afsurda chehra is lie b zard rehta hai,

Muje apny ilawa b kisi ka dard rehta hai,

Tumhary dam Qadam se thi ye sab mosam ki rangeni,

Tumhary baad sara saal mosam sard rehta hai,

Tumhary baad baqi aur to sab thek hai lekin,

Jahañ ''DIL'' tha kabi pehle wahañ ab ''DARD"rehta hai..

Wednesday, April 28, 2010

Kabhi na jana...

Bichherty lamhy jo main ny poochha ,

Tumhari aankhon ko kya hoa hy ?

To uss ki aankhon ki beeghi palkein bata rahi thein ,

Kahanian kuch ,

Suna rahi thein ,

Purany qissy gay dinon k ,

Aor uss k honton ki larzishon sy main sun raha tha kuch aisi baatein ,

K jin ki aahat ye keh rahi thi ,

K meri khatir bas itna kr lo ,

Ye chand saansein mera asasa ,

Tum in ko ly lo ,

Pr ess k badlay ye iltaja hy ,

Abhi na jana ,

Kabhi na jana...!!

Tuesday, April 27, 2010

By mohsin naqvi

Harf-e-Ranjish pe koi Baat bhi ho Sakti hai,

Ain Mumkin hai Mulaqaat Bhi ho Sakti hai,

Zindagi Phool hai Khushbu hai magar Yaad rehay,


Zindagi Gardash-e- Halaat Bhi ho Sakti Hai,

Hum Ne Ye Soch k Rakha Tha Qadam Gulshan Mein,

Lala.o.Gul Mein Teri Zaat Bhi Ho Sakti Hai,

Chaal Chaltey Huey Shatranj Ki Baazi k Asool

Bhool Jao Gay To Phir Maat Bhi ho Sakti Hai,

Aik to Chhat k Bina Ghar Hai Hamara Mohsin,


Us Pe Ye Khouf k Barsaat Bhi ho Sakti Hai.

Wafa

Hoti hai wafa
Unki Nigahon se Numaya

Alfaz me karte
Hain Jo izhar bohut Kam

Khamosh Mohabat ka Yaqeen Q nahi karte

Hum Ehle wafa Karte hain Izhar Bohut Kam.

Monday, April 26, 2010

Fareyad

Itni fryad hy hmari hmen yad rkhna,

Mare sath guzry pal abad rkhna,

Jo b pyare hain apko un me hmara nam b ho,

Beshak sab ko pehly hmen sab k bad rkhna.

Start today...

Every king was once a crying baby & every great buildng was once a map.
Its not important where u r today, but where u'll reach 2morrow is more important..
So give importance to every new day & continue your work with a hope of joy and success....

Friday, April 23, 2010

Important message

IMPORTANT MESSAGE...
Agar kisi shakhs ka achanak accident hojata hey to doctors aur staff ko yeh mushkil paish aati hey k uskay ghar walon ko kaisey inform krein, islye doctors tajveez krte hein k her shakhs apney mobile mein "ICE" naam sey us shakhs ka number save kre jisay emergency ki soorat mein inform kia ja sakey. ICE stands for "IN CASE of EMERGENCY".
Plz ye imp msg apne sb contacts ko forward karen. ALLAH subko haadsaat sey mehfooz rakhey. AAMEEN

Sahara ni hi...

Meri zindagi ka koi sahara nahi hay,

Is jahan mein koi humara nahi hay,

Pakra us ka hath to muskura kar kaha us ne,


Choro mera hath ye
Haq Tumhara nahi hai.

Ghazal

Zakham_E_Tanhai Mein Khushbo_E_Hina Kis Ki Thi,

Saaya Deewar Pr Mera Tha Sada Kis Ki Thi,

Us Ki Raftar se Lipti Rahi Aankhen Meri,

Us Ne Murr Kar Bhi Na Dekha K Wafa Kis Ki Thi,

Aansuon se Hi Bhar Gaya Daaman Mera,

Haath To Maine Utthaye Thay DUA Kis Ki Thi,

Meri Aahon Ki Zubaan Koi Samjhta Kaise,

Zindgi Itni Dukhi Mere Siwa Kis Ki Thi,

Aag se Dosti Us Ki Thi Jala Ghar Mera


De Gaye Kis Ko Saza Aur Khata Kis Ki Thi...