Kisi sy kuch na kehta tha
Wo jab bhi muskurata tha
Baharain aa si jati thin
Us k ek pal ki udasi sy
Khizain aanay lgti thin
Hamain mehsoos hota tha
K jaisay her ek mosam
Usi ki dastras mein ho
Mgr ek din........
Mera bas itna kehnay pr
"HAM AB MIL NA PAYEN GAY"
Wo itna toot kr roya
K
Smandar sochta hoga
Uski ankhon mein ya mujh mein
Paani kis mein ziyada hai:)