Friday, December 31, 2010

Jhulsi c ik basti me!


haa kl dekha ham ne is ko, dekhne ka jisko armaa tha
wo jo apne shehr se aagay, qariya bagh o baharaa tha
soch rha hoo jang se pehle, jhulsi c is basti me
kesa kesa ghar ka maalik, kesa kesa mehmaa tha
sb galiyo me taranjin thay or hr taranjin me sukhiyaa thee
sb k g me aane wali kl ka shoq-e-farawaa tha
melo thelo, baajo gaajo baarato ki dhoome thee
aaj koi dekhe to smjhe, ye to sada beyaabaa tha
charo jaanib thande choolhe, ujre ujre aangin hein
wrna har ghar me thay kamre, hr kamre me samaa tha
ujli or pur nur shabihe roz namaz ko aate thee
masjid k in taaqo me bhe kia kia diya frozaa thaa
ujri mandi, laghir kute, toote khambe, khali khet
kia is nehr k pul k aage shehr khamoshaa tha?

aaj k ik roti khatir card dikhata phirta hi
poore camp ko rooi dae dae aisa aisa dehqaa tha
taab nhi hr aik se pooche, baba tjh per kiya guzri
aik ko rok k poocha hmne seena iska bariyaaa tha
bola log to aye jaye basti ko phir bsna hi
mere he tinko ki khatir aya sara toofaa tha
aag k andir or tapish hi, aag k bahir or he aanch,
shayad koi deewana hoga! beshak chak-e-gareebaa tha


Written By Great Poet Ibne Ansha

Wednesday, December 29, 2010

Or Kia Ham se Ab Kaza Legi...


Char Din zindgi nibha legi
aakhrish maut he sanbhale gi
maut se agar farar ho jaye
zindgi tjhko maar daley gi
maut se qabal maar de khudko
zeest apna tujhko bna legi
zindgi hi ghamo ka majmua
maut gham se tjhko churaa legi
jaan o dil to luta chuke anjum
or kia hm se ab qaza le gi



Poet:

Javaid Anjum

Tuesday, December 28, 2010

December phir guzarta ja rha hi




December guzarta ja rha hi
bhot yakh bsta or thandi hawayein
mere paikar me utri ja rhi hein
teri tasveer ko dhundla rhi hein
sandesa koi to aye kahee
kbhi to aas k jugno bhee chamke
koi umeed ka roshan diya ho
chalo khawabo he me koi mila ho
magar subah o sa amsal bhee sb
shagofe, konpalein mere janu ki
musalsal roz murjha rhee hein
mere jazbo ka noha ga rahi hein
december phir guzarta ja rha hi
december phir guzarta ja rha hi

Zara thehro...

December k jaate hue lamhe
zara thehro...!
Abhi takmil krni hi
abhi to kayi kaam krne hein
adhore hein kayi manzir
un me rang bharne hein
hijr k zard mausam me
visk k phool khilne hein
abhi to yar baqi hein
abhi aghyar baqi hein
abhi hi faisla baqi
abhi to parkh krni hi
december k jaate hue lamhe
zara thehro...!
Abhi kitni kahani hi
zamane ko sunani hi
khizaan k zard pato ki
khoye suragho ki
abhi kitni kahani hi
zamane ko sunani hi
december k jaate hue lamhe
zara thahro...!
Abhi be naam nazmo ko
koi unwan dena hi
anjani khatao ka
tavan dena hi
hava k hath khushboo ko
koi paiman dena hi
tnha hi mera lashkar
neya ik hosla
niya saman dena hi
december k jaate lamhe
zara thehro...
Abhi jaldi hi q tmko
abhi tak kaam baki hein
abhi to kaam krne hein