Saturday, January 1, 2011

Saal-e-nau aageya...

Aane wali baharo k dar par
sada dae rahi hi khizaa
thak gayi hu mein mjhe izn-e-rukhsat mile
taa k phir zindgani ka bdle samaa
wo wafur-e-namu hi k sb chadrein barf ki
zindagi ki hararat se ghulne pighalne lagein
sookhi shakhein nai konpalo ki hamak se
lachakne lahakne mehakne lagein
khol do dar k taza hawao se
bhar jaye aik aik ghar
jashn-e-fasl-baharaa bipa ho
k jhoome musarat se sara nagar
phir bahar aagayi hi kharaaj isko
naa deeda khushion ka do
jese kaliya chitakti hein hanste hein gul
aise tm bhee hanso
mjh ko iqrar hi dene aati hu me
zard hone ka har shakh e gul ko peyam
kiya karu maalik asar ka hi azal se
yehi intazam o nizam
qadr hoti baharo ki kese bhala
jo dayar e chaman me na aati khizaa
valihana lubhaate na hargiz kbhi
sabza o gul samr ye shajr e gulfishaa
so mjhe khush dili se kaho alvidaa
saal e nau aageya hi purana geya
or likh di hi tmhare liye
waqt k haath pr taazgi ki dua...


Written by Najma Yasmeen Yousaf

No comments: