Saturday, May 1, 2010

Abhi itna na rootha kar...

Zara tham tham k barsa kar
abhi itna na rootha kar

Abhi to door hai manzil
Abhi khud ko na tanha kar

Teri aankhen smandar hain
Samandar ko na sehra kar

Mera dil doob jata hai
Mujhe aisay na dekha kar

Hawa mujh se kahay pagal
Na yun raston me betha kar

Wo ek din chhor jaye ga
Usay itna na chaha kar..!

No comments: