Monday, March 14, 2011

log TuuT jaate hain ek ghar banaane mein

log TuuT jaate hai.n ek ghar banaane me.n
tum taras nahii.n khaate bastiyaa.N jalaane me.n

aur jaam TuuTe.nge is sharaab-Khaane me.n
mausamo.n ke aane me.n mausamo.n ke jaane me.n

har dha.Dakate patthar ko log dil samajhate hai.n
umr biit jaatii hai dil ko dil banaane me.n

faaKhtaa kii majabuurii ye bhii kah nahii.n sakatii
kaun saa.Np rakhataa hai usake aashiyaane me.n

duusarii ko_ii la.Dakii zindagii me.n aayegii
kitanii der lagatii hai usako bhuul jaane me.n

cheharo.n kii dhuup aa.Nkho.n kii geharaa_ii le gayaa



cheharo.n kii dhuup aa.Nkho.n kii geharaa_ii le gayaa
aa_iinaa saare shahar kii biinaa_ii le gayaa

Dube huye jahaaz pe kyaa tabsaraa kare.n
ye haadasaa to soch kii geharaa_ii le gayaa

haalaa.Nki bezubaan thaa lekin ajiib thaa
jo shaKhs mujh se chhiin ke goyaa_ii le gayaa

is vaqt to mai.n ghar se nikalane na paa_uu.Ngaa
bas ek kamiiz thii jo meraa bhaa_ii le gayaa

jhuuTe qasiide likhe gaye us kii shaan me.n
jo motiyo.n se chhiin ke sachchaa_ii le gayaa

yaado.n kii ek bhii.D mere saath chho.D kar
kyaa jaane vo kahaa.N merii tanhaa_ii le gayaa

ab asad tumhaare liye kuchh nahii.n rahaa
galiyo.n ke saare sang to saudaa_ii le gayaa

ab to Khud apanii saa.Nse.n bhii lagatii hai.n bojh sii
umro.n kaa dev saarii tavanaa_ii le gayaa

Wednesday, February 2, 2011

miscellaneous

Wafa k Naam se Hum Anjan the
Kisi ki Bewafai se Shayad Pareshan the

Humne Wafa Denei Chahi Tu Pata Chala
Hum Khud Bewafai K Naam se Badnam the

 

 

Har shaam tumse milne ki adat si ho gayi
Phir rafta rafta tumse Mohhabbat si ho gayi

Shayed yeh taaza si judai ka tha assar
har shakal bus kuch teri surat si ho gayi
...
Ek naam jhilmilane laga dil ke taaq per
Ek Yaad jaise Baais-e-Raahat si ho gayi

Khud ko sajaa sanwar ke rakhne ka shok tha
Phir apne aap se mujhe nafrat si ho gayi

Meine kuch beyaan safaayi mein nahin diya
Bus chup raha to khud hi wazahat si ho gayi

Sunday, January 30, 2011

poetry

mohabat kay sab bab band karna chahtee hoon
per sach kahon,aisa kab main chahtee hoon
har baar jisya inkar karon,takrar karon...
phir uss sey hi izhar karon, ikrar karon
yeah ajab museebat ishq bana
main khud sey chuupna chahtee hoon
ab dil per chalta zoor nahi
main tanhaee main khona chahtee hoon

Saturday, January 29, 2011

naar2007@gmail.com is inviting you to http://www.millatfacebook.com

You are invited to http://www.millatfacebook.com

Attached message:

Please join this new service and let's have fun on our Islamic Facebook

This invite was sent by someone you know.

Friday, January 28, 2011

Acha Lagta Hi


just heart touching

WO PANI KI LEHRON PE KYA LIKH RAHA THA
KHUDA JANAY HARF-E-DUA LIKH RAHA THA,

LIKHAY THAY JISNAY WAFA K MANAY ADHURAY,
WOH SHAKHS PYAR KI INTEHA LIKH RAHA THA,

ZARA USKI AANKH EK AANSU NA NIKLA,
WO JIS WAQT LAFZ-E-SAZA LIKH RHA THA,

MOHABBAT MEIN NAFRAT MILI THI USAY,
WO HAR SHAKHS KO BEWAFA LIKH RAHA THA,

IS QADAR ZAMANAY WALON NAY USAY SATAYA,
WO PYAR K JAZBAY KO "GUNAH" LIKH RAHA THA.
 
 

Monday, January 3, 2011

Muqadar...!

Meri jaan sun lo!
Mera ab muqadar
faqt tum ho ya phir meri tabahi
agar mere hatho ki sari lakerein
tmhare miln ki faqat aik rekha se mehroom hongi
to me apne hatho ki sari lakeerein khurch dunga...
Sun lo...

Saturday, January 1, 2011

Saal-e-nau aageya...

Aane wali baharo k dar par
sada dae rahi hi khizaa
thak gayi hu mein mjhe izn-e-rukhsat mile
taa k phir zindgani ka bdle samaa
wo wafur-e-namu hi k sb chadrein barf ki
zindagi ki hararat se ghulne pighalne lagein
sookhi shakhein nai konpalo ki hamak se
lachakne lahakne mehakne lagein
khol do dar k taza hawao se
bhar jaye aik aik ghar
jashn-e-fasl-baharaa bipa ho
k jhoome musarat se sara nagar
phir bahar aagayi hi kharaaj isko
naa deeda khushion ka do
jese kaliya chitakti hein hanste hein gul
aise tm bhee hanso
mjh ko iqrar hi dene aati hu me
zard hone ka har shakh e gul ko peyam
kiya karu maalik asar ka hi azal se
yehi intazam o nizam
qadr hoti baharo ki kese bhala
jo dayar e chaman me na aati khizaa
valihana lubhaate na hargiz kbhi
sabza o gul samr ye shajr e gulfishaa
so mjhe khush dili se kaho alvidaa
saal e nau aageya hi purana geya
or likh di hi tmhare liye
waqt k haath pr taazgi ki dua...


Written by Najma Yasmeen Yousaf

Tm yaad aye...

Mere ghar k ujre aangan me koi phool khila tm yaad aye
tere shehr k basne valo me koi shakhs mila tm yaad aye
wo jo kehte thay baad mere kr yad mjhe tm ro'o ge
sach pooch kisi ki aankh se koi ashk gira tm yaad aye
tere naam se youn maanoos huye k ab tak hi kasak baqi
jab b mere in honto ne koi naam liya tm yaad aye
me ne zakhm he itne khaye thay k dard he mjh se rooth geya
me ne jab bhee dik k zakhmo ka hisab kiya tm yaad aye
har baar me tjhko bhoolne ki kasmein khata hu
par jab bhee kisi ne hans k mjhe pe apna kaha tm yaad aye
khud se krke nafrat me to teri yaad bhulana chahta tha
khud se gila wafa ka jab bhee kiya me ne to tm yaad aye
bhula k tjhko me ne dil Rab se lagana chaha tha
jab Rab ko sajda krne jo mera sir jhuka tm yaad aye