Friday, October 2, 2009

poem

Meri Zindagi ki kitab Hai,
Hai Warq Warq Yun Saja Hua,,

Sar-E-Ibtada
Sar-E-Inteha,
Tera Naam Dil Pe Likha Huwa,,

Ye Chamak Dhamak To Faraib Hai,
Mujhe Dekh
Gehri Nigah Sey..

Hai Libas
Mera Saja Huwa, Mera Dil Hai
Lakin Bhujha Huwa..

Meri Aankh
Teri Talash Mei, Yun
Bhatkti Rehti Hai Raat Din..

Jesy Janglon Mei Hiran Koi,
Ho Shikariyon Mei Ghira Huwa...!!

2 comments:

afsheen said...

Shajer e hijr nahi keh hameish pa ba gil rahin,
Na dohr hy keh rasiyan galy mien mustakil rahin;

Mohabaton ke wusatin humary dasto pa mein hien,
Bus aik der sy nasbatin sadan -e- ba wafa rahin;

Mein koi painting nahi k aik frame m rahon,
Wohi jo mun ka meeyeet ho usi ky prame m rahon;

Tumahi soch jo bi hy min is mizaj ke nahi,
Mujahy wafa sy beir hy ye bat aj ke nahi ;

na usko muj p maan tha na mujh ko us p zoam he,
jo ahed hi koi nahi ho to kai ghame-e- shakastege;

so apna apan rasta hansi khushi badal diya,
wo apni rah chal pari mein apni rah chal diya;

bahli si ik shakal the aor bahli si uske dosti,
uske yad raat din nahi mager kahbi kahbi ;
uske yad raat din nahi mager kahbi kahbi

afsheen said...

zaberdast hy